March 8, 2016

Chaabiyaan..



Taale saare waqt ke saath gum ho gaye.. 
Chaabiyaan reh gayeen be-sawaal jawaabon ki tarah.. 

Jin shikaayaton par kabhi sunwaayi na hui.. 
Wo khud baithi hain kathghare mein muzrimon ki tarah..  

Khabar hai ki imaaratein deh gayeen jism ke shor se.. 
Shehar ke shehar naapaak hue hain tere iraadon ki tarah.. 

Usool se toh mohabbat bhi haraam hai doston.. 
Ishq hai to phir jiyo kaafiron ki tarah..  

Hazaar khat ke jawaab mein bas ek dilaasa aaya.. 
Abhi ek aur umr jalaao, chiraaghon ki tarah..

No comments: